Nabiyon me gulab he
Rashke mahtab he
Rab ka intekhab he
Sari qayinat mai voh Mera Nabi lajawab hai
Mera Nabi lajawab he
Yasin o Taha nam he jinke Qur’an me
Ashar kya sunau main unke bayan me
Woh hi he Muzzammil ha Mudassir bhi wohi he
Takat kaha se lau main apni zaban mein
arbaab-e-nazar ko koi aisa na milega bande to mil hi jaaenge, aaqa na milega
taareeKH agar DhoonDegi saani-e- muhammad
saani to ba.Di cheez hai, saaya na milega
Dil Dard Se Bismil Ki Tarah Lot raha ho
Sine Pe Tasalli Ko Tera Hath Dhara Ho
Gar Waqte Ajal Sir Teri Chaukhat Pe Jhuka Ho
Jitni Ho Qaza Ek Hi Sajde Me Ada Ho
Aata Hain Faqeero Pe Unhe Pyar Kuch Aisa
Khud Bheekh De Khud Kahe Mangta Ka Bhala Ho
Dhundha Hi Kare Sadr Qayamat Ke Sipahi
Woh Kisko Mile Jo Tere Daman Me Chupa ho
Sarwar Kahoon Ke Malik O Maula Kahoon Tujhe
Baagh-e-Khaleel Ka Gul-e-Zaiba Kahoon Tujhay
Allah Ray Teyray Jism-e-Munawwar Kee Taa-Bish-Aeyn
Aey Jaan-e-Jaan Mein Jaan-e-Tajalla Kahoon Tujhay
Keh Lay Gee Sub Kuch Unkay Sana Khuwaan Kee Khaam-Shee
Chup Ho Raha Hoon Keh Kay Mein Kiya Kiya Kahoon Tujhay
Leykin Raza Nay Khatm-e-Sukhan Iss Pay Kar Dia
Khaaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahoon Tujhay